is qadar bhī dukhī nahīñ the ham
jaise ab haiñ kabhī nahīñ the ham
dūsrā us ko mil gayā koī
āḳhirī aadmī nahīñ the ham
har zarūrat kī ek qīmat thī
aur itne dhanī nahīñ the ham
kaise chāhat kisī ko de dete
yaar itne saḳhī nahīñ the ham
kaise dāman bachāte duniyā se
aadmī muttaqī nahīñ the ham
jo tasavvur thā us ke ḳhvāboñ meñ
hū-ba-hū kyā vahī nahīñ the ham
ab to 'mashkūr' aisā lagtā hai
tere dil meñ kabhī nahīñ the ham