Mashkoor Mamnoon Qannauji

chhupa kar sab ki nazron se sada parde mein rakkha hai

Mashkoor Mamnoon Qannauji

Kannauj, Uttar pradesh, India

1980
chhupā kar sab kī nazroñ se sadā parde meñ rakkhā hai
hazāroñ raaz aise haiñ jinheñ siine meñ rakkhā hai
kabhī sar kī kabhī jaañ kī kabhī us zāt-e-parvar kī
hamesha terī qasmoñ ne mujhe dhoke meñ rakkhā hai
yahīñ se raah chunñe kā sabaq denā zarūrī hai
abhī bachpan kitāboñ kī tarah baste meñ rakkhā hai
jahāñ ik dūsre ko ham sadā dushman samajhte haiñ
siyāsat ne hamesha ham ko us paale meñ rakkhā hai
kisī bhī vaqt sāñsoñ kī ye Dorī TuuT saktī hai
hamārā jism to har pal kisī khāte meñ rakkhā hai
añdherā aa nahīñ saktā kabhī tanhā.ī kā 'mashkūr'
ujālā terī yādoñ kā mire kamre meñ rakkhā hai
Top Urdushayar.com