Mashkoor Mamnoon Qannauji

aisa nahin duaon mein manga nahin tujhe

Mashkoor Mamnoon Qannauji

Kannauj, Uttar pradesh, India

1980
aisā nahīñ duāoñ meñ māñgā nahīñ tujhe
qismat meñ hī nahīñ thā jo paayā nahīñ tujhe
dil to aqīdatoñ kī hadoñ se guzar gayā
vo to ḳhudā kā ḳhauf thā puujā nahīñ tujhe
sab muntazir the merī nigāheñ kidhar uTheñ
maiñ ne bhī ehtiyāt meñ dekhā nahīñ tujhe
shāyad palaT ke dekh le tū hī merī taraf
maiñ ne isī umiid pe rokā nahīñ tujhe
tere ḳhayāl saath the mere qadam qadam
maiñ to kisī qadam pe bhī bhūlā nahīñ tujhe
andesha-e-judā.ī ke Dar meñ jiyā huuñ maiñ
ye mat samajh ke TuuT ke chāhā nahīñ tujhe
vo pal harām ho gayā 'mashkūr' ke liye
jis pal tasavvurāt meñ paayā nahīñ tujhe
Top Urdushayar.com