vo hameñ aur ham unheñ bas duur se dekhā kiye
umr-bhar ik dūsre ko ham yūñhī chāhā kiye
us ne va.ada toḌ Daalā ye use haq thā magar
kis qadar ma.asūm the ham rāsta dekhā kiye
pā liyā ahl-e-junūñ ne phir shahādat kā maqām
aql vaale maġhfirat kī hī duā māñgā kiye
tū ne merī samt nā dekhā palaT ke ek baar
jaane vaale ham to tujh ko duur tak dekhā kiye
baañT dī allāh ne vaqt-e-sahar sab ne.amateñ
ham se ġhāfil dhuup ke chaḌhne talak soyā kiye
kyā batā.ūñ dostoñ apnī ye dil kī dāstāñ
ham kisī kī dil-lagī ko chāhateñ samjhā kiye