khulegī niiñd ḳhvāboñ kā gharauñdā TuuT jā.egā
haqīqat rū-ba-rū hogī to sapnā TuuT jā.egā
tumheñ to chāñd banñā hai mirī tārīk rātoñ kā
sitāra tum nahīñ banñā sitārā TuuT jā.egā
mujhe apnoñ yā ġhairoñ se koī shikva nahīñ lekin
fareb itne mileñge to bharosa TuuT jā.egā
mirā ma.asūm dil to fitratan shīshe ke jaisā hai
musalsal vaar hone par to lohā TuuT jā.egā
abhī kuchh vaqt baaqī hai shajar pe zard patte kā
havā.eñ tez hone se ye pattā TuuT jā.egā
tumheñ har haal meñ 'mashkūr' us ko bhuul jaanā hai
irāda tum nahīñ karnā irāda TuuT jā.egā