tirā firāq muqaddar samajh liyā ham ne
ab apne-āp ko patthar samajh liyā ham ne
tumhārī yaad ke palkoñ pe ashk raushan the
añdherī shab ko munavvar samajh liyā ham ne
ye ḳhud-farebī nahīñ hai to aur kyā kahiye
har ek saa.e ko paikar samajh liyā ham ne
sipurd kar diye saare huqūq rahzan ko
ye kis zalīl ko rahbar samajh liyā ham ne
tamām jism thakāvaT se chuur chuur huā
tab is zamīn ko bistar samajh liyā ham ne
hamārī bhuul thī qad meñ bahut jo chhoTe the
unheñ bhī qad ke barābar samajh liyā ham ne
vo jis ne jaan aziyyat meñ Daal dī 'mashkūr'
use hī jaan se baḌh kar samajh liyā ham ne