Mashkoor Mamnoon Qannauji

jab koi sach baat chhupani paDti hai

Mashkoor Mamnoon Qannauji

Kannauj, Uttar pradesh, India

1980
jab koī sach baat chhupānī paḌtī hai
tab jhūTī ik baat banānī paḌtī hai
andar andar kitne hī ham zaḳhmī hoñ
chehre par muskān sajānī paḌtī hai
e'timād bhī had se ziyāda Thiik nahīñ
kabhī kabhī to muñh kī ḳhānī paḌtī hai
armānoñ kī laash uThā kar kāñdhoñ par
kisī kisī ko umr bitānī paḌtī hai
kabhī kabhī kuchh yaad bhī rakhnā paḌtā hai
kabhī kabhī har baat bhulānī paḌtī hai
ham se hī dahshat-gardī hai aur hameñ
sab se ziyāda jaan gañvānī paḌtī hai
thapkī de kar ham ko to 'mashkūr' yahāñ
terī tamannā roz sulānī paḌtī hai
Top Urdushayar.com