Amanullah Khalid

rah-e-hasti ke har ek moD se bach kar nikle

Amanullah Khalid

rāh-e-hastī ke har ik moḌ se bach kar nikle
ahl-e-dānish se to dīvāne hī behtar nikle
vaqt kī tez havāoñ ne ajab moḌ liyā
phuul se haath jo the un meñ bhī patthar nikle
terī yādoñ ke sahāre jo guzāre ham ne
vo hī lamhāt faqat apnā muqaddar nikle
ham ne ġhairoñ ke bhī ashkoñ ko liyā dāman par
chāhe ḳhud ġham ke samundar meñ nahā kar nikle
un kī fariyād kā aahoñ kā asar hogā
apne hāthoñ se jo ghar apnā jalā kar nikle
ġham zamāne kī jafāoñ kā kareñ kyā 'ḳhālid'
jab garebān hī kāñToñ se sajā kar nikle
Top Urdushayar.com