zamīñ jaise kī ātish-fishāñ ko saath liye
yuuñ jī rahā huuñ maiñ dard-e-nihāñ ko saath liye
huā shikār siyāsat kā ab ke mausam bhī
bahār aa.ī hai lekin ḳhizāñ ko saath liye
ruko to yuuñ ki Thahar jaa.e gardish-e-daurāñ
chalo to aise ki saare jahāñ ko saath liye
nafas nafas haiñ ujāle hazār karb liye
har ek raat hai ik dāstāñ ko saath liye
kise zamīñ ke masā.il kī fikr ho 'ḳhālid'
har ik nazar hai yahāñ āsmāñ ko saath liye