Amanullah Khalid

nigah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-pa na mila

Amanullah Khalid

nigāh-e-shauq ko jab terā naqsh-e-pā na milā
mujhe bhī husn-e-haqīqat kā aa.ina na milā
jise bhī dekho vahī ajnabī sā lagtā hai
tumhāre shahr meñ koī bhī āshnā na milā
hudūd-e-dair-o-kalīsā meñ ḳhānqāhoñ meñ
bahut talāsh kiyā ham ko pārsā na milā
taḌapte rah ga.e din meñ bhī raushnī ke liye
charāġh bechne vāloñ ko mash.lā na milā
hamāre dars pe ġhairoñ ne pā liyā sāhil
hamāre apne safīne ko nāḳhudā na milā
sukūñ milegā unheñ kis ke āstāne par
vo ahl-e-dard jinheñ terā aasrā na milā
matā-e-dil vo mirī lūTne chalā thā magar
ye aur baat ki rahzan ko hausla na milā
mirī vafāoñ pe ilzām to bahut aa.e
mirī vafāoñ kā mujh ko magar sila na milā
vafā ke tazkire ham ne bahut sune 'ḳhālid'
magar jahāñ meñ koī ham ko bā-vafā na milā
Top Urdushayar.com