kuchh sochoñ ke kuchh fikroñ ke kuchh the ehsāsāt ke naam
jitne bhī patthar aa.e sab ā.īna-e-jazbāt ke naam
un kī nigāheñ be-parvā haiñ kuchh bhī nahīñ jazbāt ke naam
vaqf kiye haiñ jin logoñ ne din ke ujāle raat ke naam
tapte hue sahrā meñ jaise shabnam kī be-rañg numūd
jaane kitne ḳhat likkhe haiñ maiñ ne bhī barsāt ke naam
vaqt ke hoñToñ pe raqsāñ haiñ mastī kā ik raag liye
sub.h-e-qayāmat ke hañgāme husn-e-maujūdāt ke naam
mauj-e-sukūñ ke saath mile zanjīr-e-alam be-tābī-e-dil
ham ne kitnī daulat paa.ī ulfat kī sauġhāt ke naam
un kī tamannā merī koshish bāham va.ade aur qasmeñ
kuchh merī taqdīr ke sadqe baaqī sab hālāt ke naam
sajī huī hai adab kī mahfil haal ke aise naġhmoñ se
be-maqsad be-kaif kitābeñ husn-e-taḳhlīqāt ke naam
hasrat-o-armāñ bazm-e-tasavvur dāman-e-sahrā dast-e-junūñ
ḳhushiyoñ ke paiġhām haiñ 'ḳhālid' ġham ke hasīñ lamhāt ke naam