dard aisā diyā ehsās-e-vafā ne ham ko
na davā ne hī shifā dī na duā ne ham ko
ye to sahrā kī havā.eñ haiñ gila kyā un kā
ḳhuub jhulsāyā hai gulshan kī sabā ne ham ko
soz-e-āfāq kā ehsās bhī ham ko na huā
itnā behosh kiyā terī adā ne ham ko
duur hotā hī gayā chehra-e-manzil ham se
raah dikhlā.ī hai vo rāh-numā ne ham ko
dekhtī hī rahī ye aql tamāshā-e-junūñ
jab bhī majbūr kiyā ahd-e-vafā ham ko
zulf-e-idrāk chhupātī ruḳh-e-hastī kab tak
āḳhirash thaam liyā dast-e-fazā ne ham ko
Duubī kashtī jo hamārī lab-e-sāhil 'ḳhālid'
nā-ḳhudā ne nahīñ dekhā ki ḳhudā ne ham ko