Amanullah Khalid

ghar apna wadi-e-barq-o-sharar mein rakkha jae

Amanullah Khalid

ghar apnā vādī-e-barq-o-sharar meñ rakkhā jaa.e
ta.alluqāt kā saudā na sar meñ rakkhā jaa.e
agar talab ho kabhī chand ghūñT paanī kī
samundaroñ kā tasavvur nazar meñ rakkhā jaa.e
sunā hai duḳhtar-e-tahzīb ghar se bhaag ga.ī
chhupā ke bachchoñ ko hargiz na ghar meñ rakkhā jaa.e
pata nahīñ ki kahāñ rah-zanoñ kī ho yalġhār
koī difā.a bhī raḳht-e-safar meñ rakkhā jaa.e
batāo kaise milegī hameñ sahīh ta.abīr
jab apnā ḳhvāb hī chashm-e-digar meñ rakkhā jaa.e
lo ab to ham bhī havāoñ ke saath chalne lage
hamārā naam bhī ahl-e-hunar meñ rakkhā jaa.e
kitāb ziist meñ bāb-e-alam bhī ho mahfūz
siyāh-rāt kā manzar sahar meñ rakkhā jaa.e
qafas ko le ke jo uḌā jaa.e gulistāñ kī taraf
vo azm tā.ir-e-be-bāl-o-par meñ rakkhā jaa.e
Top Urdushayar.com