Imdad Ali Bahr

waqt-e-aKHir hamein didar dikhaya na gaya

Imdad Ali Bahr

1810-1878
vaqt-e-āḳhir hameñ dīdār dikhāyā na gayā
ham to duniyā se ga.e aap se aayā na gayā
rāz-poshī se kabhī haath uThāyā na gayā
nabz dikhlā.e maraz apnā batāyā na gayā
phuuT niklī na rukī siine kī andar ḳhushbū
mushk thā dāġh-e-mohabbat ki chhupāyā na gayā
merā dil kis ne liyā naam batā.ūñ kis kā
maiñ huuñ yā aap haiñ ghar meñ koī aayā na gayā
haath uThā baiThe ham is zindagī-e-shīrīñ se
ġham judā.ī kā ye thā talḳh ki khāyā na gayā
jab kiyā qasd ki ehsān kisī kā luuñ maiñ
aabrū ghaTne lagī haath baḌhāyā na gayā
aaj vo haal hai apnā jo kisī ne pūchhā
ho ga.e qufl-e-dahan-sharm batāyā na gayā
rañj pūchhā jo mohabbat meñ to rāhat samjhe
dukh uThāyā kabhī dil us se uThāyā na gayā
kuchh na pūchho lab-e-shīrīñ kī halāvat ham se
ye vo halvā hai kabhī baañT ke khāyā na gayā
haif āñkhoñ ne bhī dekhī na mirī tishna-labī
muñh meñ paanī mizha-e-tursī chuvāyā na gayā
nā-tavānī kā burā ho ham udhar ko jo chale
tivr aa aa ga.e gir gir paḌe jaayā na gayā
maġhz chāTā kabhī andoz-o-nasīhat vaale
ġham hamārā kisī ġham-ḳhvār se khāyā na gayā
dost kab dost kā hotā hai muḳhill-e-rāhat
so ga.e paañv to hāthoñ se jagāyā na gayā
kab harārā dil-e-betāb kā rone se miTā
sho.ala-e-barq kabhī muñh se bujhāyā na gayā
āmad-e-yār kī kyā kyā na sunī garm ḳhabar
umr-bhar rāsta dekhā koī aayā na gayā
jis ke juuyā hue ham DhūñDh nikālā us ko
aql ġham hai ki mizāj aap kā paayā na gayā
us ke kūche se za.īfī meñ bhī uTThe na qadam
sar pe dhuup aa ga.ī dīvār kā saayā na gayā
qat.a jab se huī ummīd-e-visāl-e-jānāñ
is tarah baiTh gayā dil ki uThāyā na gayā
jāgnā hī mirī taqdīr meñ kyā likkhā thā
shab-e-furqat meñ ajal se bhī sulāyā na gayā
qasd thā 'bahr' kā but-ḳhāne se ka.abe kī taraf
lā-ubālī hai ḳhudā jaane gayā yā na gayā
Top Urdushayar.com