sā.īñ apne nafas ko ham ne yuuñ hī nahīñ nākām kiyā
umr guzārī dar-ba-darī meñ kab kis jā ārām kiyā
ġhair to āḳhir ġhair haiñ yaaro kyā socheñ ab kis ke ta.iiñ
ham ne kaun jagah apne ko pāband-e-ahkām kiyā
ahl-e-ḳhirad ne jashn-e-bahārāñ yuuñ bhī manāyā ab ke baras
jaib-o-garebāñ chaak kiye aur dīvānoñ meñ naam kiyā
har dar pe ik baañg lagāveñ bhalā karo bas bhalā karo
ek hī shikva ek hī naala sub.h kiyā aur shaam kiyā
ūñche ūñche mahloñ se kyā ġharaz hai ham banjāroñ ko
ThanDī chhāyā dekh ke ḳhud ko kabhī na zer-e-bām kiyā
maiñ hī thā ik aañkh na bhāoñ vo to ab bhī yaar haiñ tere
jin logoñ ne terā charchā bāzāroñ meñ aam kiyā
dukh nā pahuñchā kisī ko baabā tere 'ḳhālid' se
un ne to sau baar ḳhushī ko ġham ke evaz nīlām kiyā