Imdad Ali Bahr

aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ātish-e-bāġh aise bhaḌkī hai ki jaltī hai havā
kūcha-e-gul se dhuāñ ho kar nikaltī hai havā
soz-e-vahshat meñ dhueñ kī shakl kāhish hai mujhe
maiñ havā khātā nahīñ mujh ko nigaltī hai havā
dam agar niklā badan se phir baḌī taskīn hai
ḳhaak patthar ho ke jamtī hai jo Taltī hai havā
giryae-e-ushshāq se kīchaḌ hai aise jā-ba-jā
thaam kar dīvār-o-dar galiyoñ meñ chaltī hai havā
jā-ba-jā mujh ko liye phirtī hai duniyā kī havas
baiTh jaatā hai bagūlā jab nikaltī hai havā
gulshan-e-ālam kī nairañgī se hotā hai yaqīñ
phir shagūfa phūltā hai phir badaltī hai havā
haiñ bhī aaheñ to muñh se bāhar aatā hai jigar
zarre ko rauzan se aksar le nikaltī hai havā
nāzukī meñ shāḳh-e-gul hai sarv-e-bālā yaar kā
jhoñke letā hai jo āhista bhī chaltī hai havā
ḳhaak uḌtī hī jo us ke paañv se gul-gasht meñ
phūloñ ke muñh par bajā.e ġhāza maltī hai havā
dekhiye chal kar zarā kaifiyyat-e-josh-e-bahār
jhūmte haiñ peḌ gir gir kar sambhaltī hai havā
nā-rasā.ī dekhnā uḌtā hai jab merā ġhubār
yaar ke koThe ke kānis se phisaltī hai havā
garmiyoñ meñ sair gulzāroñ kī bhātī hai mujhe
har qadam par pañkhiyā phūloñ kī jhaltī hai havā
ḳhaar kahte haiñ uThā kar uñgliyāñ gul kī taraf
phuul jaate haiñ vo kaisā jin ko phaltī hai havā
sarv-e-qirtās-e-muqarriz huuñ maiñ is gulzār meñ
ḳhaak meñ paanī milātā hai masaltī hai havā
'bahr' pañkhā haath se rakh do nihāyat zaar huuñ
mauj-e-dariyā kī tarah mujh ko kuchaltī hai havā
Top Urdushayar.com