siyāh hai dil-e-gītī siyāh-tar ho jaa.e
ḳhudā kare ki har ik shaam be-sahar ho jaa.e
kuchh is ravish se chale bād-e-barg-e-rez-e-ḳhizāñ
ki duur tak saf-e-ashjār be-samar ho jaa.e
bajā.e rañg rag-e-ġhunchā se lahū Tapke
khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaa.e
zamāna pī to rahā hai sharāb-e-dānish ko
ḳhudā kare ki yahī zahr kārgar ho jaa.e
koī qadam na uThe sū-e-manzil-e-maqsūd
duā karo ki har ik raah pur-ḳhatar ho jaa.e
ye log rah-guzar-e-zīst se bhaTak jaa.eñ
ajal qavāfil-e-hastī kī ham-safar ho jaa.e
ba-qadr yak-do-nafs bhī girāñ hai zahmat-e-zīst
hayāt-e-nau-e-bashar aur muḳhtasar ho jaa.e