habs ke aalam meñ mahbas kī fazā bhī kam nahīñ
rauzan-e-dīvār-e-zindāñ kī havā bhī kam nahīñ
shorish-e-zanjīr-e-pā par haiñ agar pābandiyāñ
halke halke jumbish-e-zanjīr-e-pā bhī kam nahīñ
gar sar-e-maqtal na ho zikr-e-butāñ kā hausla
hujra-e-tārīk meñ yād-e-ḳhudā bhī kam nahīñ
rahrav-e-shab kyuuñ charāġh-e-mah se daryūza-garī
raat añdherī ho to jugnū kī ziyā bhī kam nahīñ
laakh mohkam ho hisār-e-marhabī-o-antarī
ġhāziyoñ kā bāzū-e-ḳhaibar-kushā bhī kam nahīñ
ahd-e-gul se sāzish-e-bād-e-ḳhizāñ bhī kam na thī
shāḳh-e-gul se sozish-e-barq-e-balā bhī kam nahīñ
kyā huā gar vā.iz-o-mullā ke dil haiñ be-charāġh
gosha-e-masjid meñ nanhā sā diyā bhī kam nahīñ
lazzat-e-bāda hai jāñ-parvar magar ai ahl-e-zauq
zahr-e-ashk-o-qatra-e-ḳhūñ kā mazā bhī kam nahīñ