tirā ḳhayāl ki ḳhvāboñ meñ jin se hai ḳhushbū
vo ḳhvāb jin meñ mirā paikar-e-ḳhayāl hai tū
satā rahī haiñ mujhe bachpane kī kuchh yādeñ
vo garmiyoñ ke shab-o-roz dopahar kī vo lū
pachās saal kī yādoñ ke naqsh aur naqshe
vo koī nisf sadī qabl kā zamāna-e-hū
vo garm-o-ḳhushk mahīne vo jeTh vo baisākh
ki hāfize meñ kabhī aah haiñ kabhī aañsū
vo zaa.eñ zaa.eñ ke kitne muhīb zanāTe?
fazā kā haul havā kī vo vahshateñ har sū
vo saa.eñ saa.eñ ke kitne ajiib sannāTe?
vo sansanī vo pur-asrār ek ālam-e-hū
vo dopahar vo habūḌe vo señgī baa.ī kuuT
fazā-e-sho.ala-bajān o havā-e-ātish-e-ḳhū
vo khiḌkiyoñ meñ havāoñ kī sar-kashī tundī
vo bām-o-dar pe musallat jahannamī jaadū
vo pech-o-tāb bagūloñ kā mere āñgan maiñ
chuḌeleñ ghar meñ ghus aa.ī haiñ khaul kar gesū
vo lū kā zor ki saare kivāḌ bajte haiñ
ki jaise lashkar-e-jinnāt kā amal har sū
vo shor jaise bagūloñ meñ bhuut hoñ raqsāñ
vo qāh-qāh vo hā-hā vo hoñk vo hū-hū
guzar rahā hai tasavvur se jeTh kā mausam
aur is samay meñ mujhe yaad aa rahā hai tū