buland-o-past meñ manzil hameñ kahīñ na milī
jo āsmān se nāzil hue zamīñ na milī
gila nahīñ ki tirā sañg-e-āstāñ na milā!
ye hai ki dīda-e-tar ko vo āstīñ na milī
kabhī jo shāna-e-uqda-kushā nasīb huā
to us kī zulf-e-girah-gīr o ambarīñ na milī
bajā ki jān-e-zuleḳhā the misr meñ yūsuf
magar jo baat thī kan.āñ meñ vo kahīñ na milī
mile jo arsh pe ḳhuld-e-barīñ to kyā hāsil?
ki is zamīñ pe hameñ jannat-e-zamīñ na milī
'ra.īs' daad ḳhudāvand-e-āfrīnash ko!
agar milī to ba-juz harf-e-āfrīñ na milī