kal raat ka.ī ḳhvāb-e-pareshāñ nazar aa.e
jo shahr ki ābād the vīrāñ nazar aa.e
bikhrī huī roñdī huī lāshoñ se guzar kar
TuuTe hue mīnār-e-shahīdāñ nazar aa.e
kohsār-e-himāla kī jhalak ḳhvāb meñ dekhī
gañgā meñ ubalte hue tūfāñ nazar aa.e
pahle to kisī qarya-e-barbād meñ Thahre
aage jo baḌhe gor-e-ġharībāñ nazar aa.e
mahkī huī ajdād kī ḳhushbū se havā.eñ
har-gām pe āsār-e-azīzāñ nazar aa.e
jis ghar meñ farishtoñ kī ziyā thī usī ghar meñ
arvāh-e-ḳhabīsa ke charāġhāñ nazar aa.e
jo matla-e-taqdīs-e-mohabbat the vo chehre
ḳhafagī ke sabab ham se gurezāñ nazar aa.e
ham jin ko daġhā de ke kahīñ bhaag ga.e the
vo ahl-e-haram bā-sar-e-uryāñ nazar aa.e
ik pīr-e-muqaddas kā hayūlā nazar aayā
phir rīsh-e-safed-o-dur-e-dandāñ nazar aa.e
ham jin kī pareshānī-e-ḳhātir kā sabab the
vo ālam-e-rūyā meñ pareshāñ nazar aa.e
ik dāman-e-ismat kī kiran duur se phūTī
dāman pe ka.ī gauhar-e-ġhaltāñ nazar aa.e
thī jis ke tabassum meñ malā.ek kī halāvat
sad-haif ki vo ḳhvāb meñ giryāñ nazar aa.e
is shahr ko jo shaḳhs ke maulid kā sharaf ho
vo shaḳhs usī shahr meñ mehmāñ nazar aa.e
lab par hai 'ra.īs' apne ye misra.a ka.ī din se
kal raat ka.ī ḳhvāb pareshāñ nazar aa.e