rāz-e-giraftagī na asīr-e-lahn se pūchh
ye baat apnī zulf-e-shikan-dar-shikan se pūchh
āvārgī ke lutf na sarv-o-saman se pūchh
vahshat meñ kyā mazā hai havā-e-chaman se pūchh
mardān-e-haq kā azm shahīdān-e-haq kā jurm
dil-dādgān-e-sheva-e-dār-o-rasan se pūchh
kyā shām-e-ġham meñ dīda-o-dil par guzar ga.ī
un taaza vārdān-e-bisāt-e-kuhan se pūchh
lazzat-kashān-e-sāġhar-e-ishrat ko kyā ḳhabar
ranj-e-ḳhumār talḳhī-e-kām-o-dahan se pūchh
sahn-e-chaman meñ lāla-o-gul par tire baġhair
kyā kyā guzar rahī hai bahār-e-chaman se pūchh
āġhāz-e-irtibāt-o-ta.alluq ke vāqi.āt
kuchh apne hosh kuchh mire dīvāna-pan se pūchh
ai fasl-e-gul mizāj jarāhat-rasīdgāñ
gar ho sake to lāla-e-ḳhūnīñ kafan se pūchh
jo terī mashq-e-nāz se pāmāl ho gayā
apnā mizāj-e-nāz usī ḳhasta-tan se pūchh
afsāna-e-bahār asīr-e-qafas se sun
yād-e-vatan kā lutf kisī be-vatan se pūchh
ai dost ham se kufr-e-mohabbat kā dars le
asrār-e-kāfirī na but-e-barahman se pūchh
ham bhī kabhī the anjuman-ārā-e-ārzū
us jān-e-bazm-o-zeb-dah-e-anjuman se pūchh
ham bhī kabhī the yūsuf-e-kan.ān-e-rañg-o-bū
pīr-e-za.īf-o-pīr zan-o-pairhan se pūchh