Rais Amrohvi

ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon mein

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
ġhurūb-e-mehr kā mātam hai gulistānoñ meñ
nasīm-e-sub.h bhī shāmil hai nauha-ḳhvānoñ meñ
jahāñ the raqs-e-tarab meñ kabhī dar-o-dīvār
balā.eñ naach rahī haiñ ab un makānoñ meñ
añdherī raat bhayānak khañDar muhīb fazā
bhaTak rahā huuñ ajal ke siyāh-ḳhānoñ meñ
ye aamad āmad-e-tūfān-e-shab ḳhudā kī panāh
tuyūr-e-shām simaT jaa.eñ āshiyānoñ meñ
ye saa.eñ saa.eñ kī āvāz hai ki maut kī huuk
jo gūñjtī hai shayātīn ke tarānoñ meñ
nadīm-e-shab koī afsāna-e-fusūn-o-tilism
ki zindagī kī jhalak hai inhīñ fasānoñ meñ
nahīñ hai shahr-e-vafā kī tabāhiyoñ kā gilā
magar vo log jo rahte the in makānoñ meñ
ajiib thiiñ ye ġharīboñ kī bastiyāñ lekin
ġharīb rah na sake in ġharīb-ḳhānoñ meñ
hamārī gard-e-safar bhī na ab mile shāyad
'ra.īs' ahl-e-tamannā ke kārvānoñ meñ
Top Urdushayar.com