Rais Amrohvi

safar mein koi rukawaT nahin gada ke liye

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
safar meñ koī rukāvaT nahīñ gadā ke liye
khulā huā hai har ik rāsta havā ke liye
ye pūchhtī hai har ik sub.h aa ke mauj-e-nasīm
koī payām kisī yār-e-āshnā ke liye
tavāf-e-dair-o-haram se to ho chuke fāriġh
chalo ziyārat-e-yārān-e-bā-safā ke liye
maiñ kyuuñ na bā-sar-e-uryāñ phirūñ tah-e-aflāk
ki faḳhr hai sar-e-uryāñ barahna-pā ke liye
ye shahr shahr-e-baḳhīlāñ hai ai dil-e-bīmār
yahāñ to zahr bhī miltā nahīñ davā ke liye
shikār DhūñDh ke laa.ī kahāñ kahāñ kahāñ se hayāt
darinda-e-ajal-o-azdar-e-qazā ke liye
ajiib baat ki manzil kā jab bhī qasd huā
bajā.e paañv ke haath uTh ga.e duā ke liye
sitam-zarīf zamāne ne chun liyā ham ko
girānī-e-nafs-o-garmī-e-navā ke liye
sivā.e kashtī-e-lañgar gusistā kyā hogī
ġharīq-e-bahr kī sauġhāt nā-ḳhudā ke liye
hamīñ meñ kyuuñ hadaf-e-tanz ai jamāl-e-bahār
sabhī ne phuul chune the tirī qabā ke liye
na zād-e-rāh na rahbar na mezbāñ na sarā.e
ham aise bādiya-gardān-e-be-navā ke liye
jahāñ jahāñ bhī hue par-kushā ham ahl-e-zamīñ
zamīñ ke bojh hī sābit hue ḳhalā ke liye
Top Urdushayar.com