shamīm-e-gesū-e-mushkīn-e-yār laa.ī hai
sabā uḌā ke payām-e-bahār laa.ī hai
kisī urūs-e-shabistān-e-alf-lailā kā
churā ke ik nafas-e-mushk-bār laa.ī hai
jo rahravān-e-tarīq-e-talab haiñ un ke liye
ġhubār-e-manzil-e-shahr-e-nigār laa.ī hai
kaho ki dīda-o-dil ke liye nasīm-e-sahar
payām-e-ġhamza-e-ālam-shikār laa.ī hai
kaho ki ḳhirman-e-jāñ ke liye shamīm-e-bahār
salām-e-sho.ala-o-barq-o-sharār laa.ī hai
jo zā.irīn-e-harīm-e-vafā haiñ un ke liye
naved-e-rahmat-e-parvardigār laa.ī hai
vatan kī yaad kisī be-dayār kī ḳhātir
vatan se muzda-e-ahl-e-dayār laa.ī hai