Rais Amrohvi

dil se ya gulsitan se aati hai

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
dil se yā gulsitāñ se aatī hai
terī ḳhushbū kahāñ se aatī hai
kitnī maġhrūr hai nasīm-e-sahar
shāyad us āstāñ se aatī hai
ḳhud vahī mīr-e-kārvāñ to nahīñ
bū-e-ḳhush kārvāñ se aatī hai
un ke qāsid kā muntazir huuñ maiñ
ai ajal! tū kahāñ se aatī hai
shikva kaisā ki har balā ai dost!
jāntā huuñ jahāñ se aatī hai
ho chukīñ āzmā.isheñ itnī
sharm ab imtihāñ se aatī hai
ain dīvāngī meñ yaad āyā!
aql ishq-e-butāñ se aatī hai
terī āvāz gaah gaah ai dost!
parda-e-sāz-e-jāñ se aatī hai
dil se mat sarsarī guzar ki 'ra.īs'
ye zamīñ āsmāñ se aatī hai
Top Urdushayar.com