chuur sadmoñ se ho ba.iid nahīñ
ābgīna hai dil hadīd nahīñ
mai-kashī kyā kare bhalā zāhid
maġhfirat kī use umiid nahīñ
chār-sū hai añdherā āñkhoñ meñ
chaar din se jo us kī diid nahīñ
mere aage milī vo ġhairoñ se
hai moharram mujhe ye iid nahīñ
qatl aalam hai tere abrū par
koī talvār se shahīd nahīñ
apne dil se mujhe irādat hai
maiñ kisī piir kā murīd nahīñ
dil kisī se lage to kyā chhūTe
koī is qufl kī kalīd nahīñ
dekh le mar ke saḳhtī-e-sakrāt
sadma-e-hijr se shadīd nahīñ
vasl-e-jānāñ hai seġha-e-tohmat
ki mujarrad haiñ ham mazīd nahīñ
ishq kyā dard hai ḳhudāvandā
koī dārū-davā mufīd nahīñ
nahno-aqrab dalīl hai ai 'bahr'
yaar nazdīk hai ba.iid nahīñ