Rais Amrohvi

dayar-e-shahid-e-bilqis-ada se aaya hun

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
dayār-e-shāhid-e-bilqīs-adā se aayā huuñ
maiñ ik faqīr huuñ shahr-e-sabā se aayā huuñ
jahān-e-nau kī talab aur is ḳharābe meñ
savād-e-istaḳhr-o-nainvā se aayā huuñ
shab-e-siyāh-e-ḳhizāñ ke sumūm-o-sar-sar tak
nigār-ḳhāna-e-shub.h-o-sabā se aayā huuñ
abhī kahāñ hai mujhe nauha-o-navā kā shu.ūr
ki ek nāhiya-e-be-navā se aayā huuñ
mire rumūz kā irfāñ kise nasīb ki maiñ
sarosh-e-rūh-e-azal huuñ samā se aayā huuñ
damak rahī hai zamān-o-makāñ kī peshānī
sitāra-e-abadī huuñ ḳhalā se aayā huuñ
tumhāre ġhuncha-o-gul se ġharaz nahīñ mujh ko
idhar ishāra-e-bād-e-sabā se aayā huuñ
Top Urdushayar.com