siyāh hai dil-e-gītī siyāh-tar ho jaa.e
ḳhudā kare ki har ik shaam be-sahar ho jaa.e
kuchh is adā se chale bād-e-barg-rez ḳhizāñ
ki duur tak saf-e-ashjār be-samar ho jaa.e
bajā.e rañg rag-e-ġhuncha se lahū Tapke
khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaa.e
paḌe jo haath chaman meñ ba-qasd-e-gul-chīnī
misāl-e-panja-e-qassāb ḳhuuñ meñ tar ho jaa.e
faroġh-e-mahr se ho iḳhtilāj-e-qalb-e-fuzūñ
bahāna-e-ḳhafaqāñ jalva-e-qamar ho jaa.e
zamāna pī to rahā hai sharāb dānish ko
ajab nahīñ ki yahī zahr kārgar ho jaa.e
koī qadam na uThe sū-e-manzil-e-maqsūd
duā ye kar ki har ik raah pur-ḳhatar ho jaa.e