shikva karne se koī shaḳhs ḳhafā hotā hai
aur shikva nahīñ kartā to gila hotā hai
hashr jis se dil-e-mutrib meñ bapā hotā hai
sirf ik naġhma-e-be-saut-o-sadā hotā hai
niiñd aatī nahīñ jis raat tujhe ai dil-e-zār
shāyad us raat koī jaag rahā hotā hai
yuuñ hai vahshat-kada-e-dil meñ tirī yaad ai dost
jaise sahrā meñ koī phuul khilā hotā hai
rūh-e-shā.ir se ubhartā hai surūd-e-abadī
ain us vaqt ki dil Duub rahā hotā hai
dekh to kaun ḳhud-ārā hai pas-e-parda-e-rañg
tukma-e-gul to faqat band-e-qabā hotā hai
aur baḌh jaatī hai kuchh lafz-o-bayāñ kī tāsīr
lafz jab ashk kī sūrat meñ adā hotā hai
gāmzan ruuh huī vādī-e-ḳhāmoshāñ meñ
ḳhatm āḳhir safar-e-koh-e-nidā hotā hai