maiñ jo tanhā rah-e-talab meñ chalā
merā saaya mire aqab meñ chalā
sub.h ke qāfiloñ se nibh na sakī
maiñ akelā savād-e-shab meñ chalā
jab ghane jañgaloñ kī saf aa.ī
ek taarā mire aqab meñ chalā
aage aage koī bagūlā sā
ālam-e-mastī-o-tarab meñ chalā
maiñ kabhī hairat-e-talab meñ rukā
aur kabhī shiddat-e-ġhazab meñ chalā
nahīñ khultā ki kaun shaḳhs huuñ maiñ
aur kis shaḳhs kī talab meñ chalā
ek anjān zaat kī jānib
al-ġharaz maiñ baḌe taab meñ chalā