Rais Amrohvi

rais ashkon se daman ko bhigo lete to achchha tha

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
'ra.īs' ashkoñ se dāman ko bhigo lete to achchhā thā
huzūr-e-dost kuchh gustāḳh ho lete to achchhā thā
judā.ī meñ ye shart-e-zabt-e-ġham to maar Dālegī
ham un ke sāmne kuchh der ro lete to achchhā thā
bahāroñ se nahīñ jin ko tavaqqo.a lāla-o-gul kī
vo apne vāste kāñTe hī bo lete to achchhā thā
abhī to nisf shab hai intizār-e-sub.h-e-nau kaisā
dil-e-bedār ham kuchh der so lete to achchhā thā
qalam-rau dād-e-ḳhūn-o-ashk likhne se jhijaktā hai
qalam ko ashk-o-ḳhūñ hī meñ Dubo lete to achchhā thā
faqat ik girya-e-shabnam kifāyat kar nahīñ saktā
chaman vaale kabhī jī-bhar ke ro lete to achchhā thā
surāġh-e-kārvāñ tak kho gayā ab sochte ye haiñ
ki gard-e-kārvāñ ke saath ho lete to achchhā thā
Top Urdushayar.com