maanā ki tū savār hai aur maiñ piyāda huuñ
mujh se hazar na kar ki shanāsā-e-jāda huuñ
bātin meñ saḳht kāfir-o-pur-pech o tah-ba-tah
zāhir meñ ek ham-safar-e-sahal-o-sāda huuñ
ik shahr-e-zar-nigār hai aqlīm-e-sharq meñ
us shahr-e-zar-nigār kā maiñ shāhzāda huuñ
vā haiñ darīcha-hā-e-ḳhirad merī ruuh par
kis ne kahā ḳharāb-e-ḳharābāt-o-bāda huuñ
ai ḳhizr! qutb-e-vaqt kī tā-chand justujū
merā murīd ho ki qavī-ul-irāda hoñ
maiñ ham-rah-e-shamīm na uḌtā sabā ke sāth?
uftād to yahī hai ki barg-e-fatāda huuñ
tīr-afganoñ kī saf hai udhar aur maiñ idhar
sīna-sipar 'ra.īs' ba-qalb-e-kushāda huuñ