Rais Amrohvi

muqarrebin mein ramz-ashna kahan nikle

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
muqarrebīn meñ ramz-āshnā kahāñ nikle
jo ajnabī the vahī apne rāz-dāñ nikle
haram se bhaag ke pahuñche jo dair-e-rāhib meñ
to ahl-e-dair hamāre mizāj-dāñ nikle
bahut qarīb se dekhā jo fauj-e-a.adā ko
to har qatār meñ yārān-e-mehrbāñ nikle
qalandaroñ se milā muzhda-e-subuk-rūhī
jo bazm-e-hosh se nikle to sar-garāñ nikle
qabīla-e-haram o qaum-e-dair o firqa-e-riñd
hamāre chāhne vaale kahāñ kahāñ nikle?
sukūt-e-shab ne sikhāyā hameñ salīqa-e-nutq
jo zākirān-e-sahar the vo be-zabāñ nikle
miyān-e-rāh khaḌe haiñ is intizār meñ ham
ki gard-e-rāh haTe aur kārvāñ nikle
gumāñ ye thā ki pas-e-koh bastiyāñ hoñgī
vahāñ ga.e to mazārāt-e-be-nishāñ nikle
gire zamīñ pe jo haft āsmāñ se Takrā ke
to har qadam pe yahāñ aur haft-ḳhvāñ nikle
ufuq se apne to dhundlā sā ik ġhubār uThā
phir is ke ba.ad sitāroñ ke kārvāñ nikle
kabhī kabhī to har ik saañs par huā mahsūs
ki jaise qālib-e-ātish-zada se jaañ nikle
samajh rahā thā zamāna jinheñ nufūs-e-jamāl
vo sirf chand nafas-hā-e-ḳhūñ-chakāñ nikle
kamāl-e-shauq se chheḌā thā jin ko mutrib ne
vo raag saaz ke siine se nauha-ḳhvāñ nikle
'ra.īs' hujra-e-tārīk-jāñ ko khol to duuñ?
jo koī āfat-e-qattāla-e-jahāñ nikle
Top Urdushayar.com