Rais Amrohvi

ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
ai dil sharīk-e-tā.ifa-e-vajd-o-hāl ho
pyāre ye aib hai to ba-hadd-e-kamāl ho
'shiblī'-o-'bāyazīd'-o-'gurūnanak'-o-'kabīr'
hañgāma-e-jalāl meñ raqs-e-jamāl ho
sab kī zabāñ pe mast-kalandar ho dam-ba-dam
phir us ke ba.ad raat meñ DaT kar dhamāl ho
phir ham-safar kareñ taraf-e-lā-jehat
ne sharq-o-ġharb ho na junūb-o-shumāl ho
āsāñ rujū-e-shams hai lekin tire malañg
pahuñcheñ vahāñ jahāñ se palaTnā muhāl ho
ik kā.enāt-e-ḳhvāb ba-sad mumkināt-e-ḳhvāb
nairañgī-e-ḳhayāl ba-husn-e-ḳhayāl ho
sarshār-o-sarbuland-o-siyah-mast-o-sarfarosh
māhaul apne haal meñ gum ho vo haal ho
giitā kā tazkira ho to gautam se guftugū
aur ved kī zabāñ meñ javāb-o-savāl ho
ai ḳhizr-e-vaqt majlis-e-aqtāb-e-vaqt meñ
zikr-e-mo.āmla ho na fikr-e-ma.āl ho
ham yuuñ ravāñ hoñ rāh-e-abad meñ ki sadd-e-rāh
mustaqil-e-vajūd na māzī-o-hāl ho
kyā kyā tasavvurāt haiñ kyā kyā taḳhaiyyulāt
aisā na ho ki ye bhī tilism-e-ḳhayāl ho
sab kuchh hai gar tilism-e-ḳhayāl-o-fusūñ to phir
ai dil sharīk-e-tā.ifa-e-vajd-o-hāl ho
Top Urdushayar.com