Imdad Ali Bahr

KHurshid firaq mein tapan hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878

ḳhurshīd firāq meñ tapāñ hai

ai zarra-navāz kahāñ hai

kyuuñ rote haiñ dekh dekh kar ham

ye zulf-e-siyah hai dhuāñ hai

muñh dekh rahā huuñ aur chup huuñ

kyā baat karūñ vo bad-zabāñ hai

ab minnat-e-bāġhbāñ abas hai

patjhaḌ ke din aa ga.e ḳhizāñ hai

gulzār nahīñ maqām-e-ishrat

bulbul pe jafā-e-bāġhbāñ hai

gul ko bhī kuchh ġham-e-nihāñ ne

ġhunche chaTak nahīñ fuġhāñ hai

gardūñ ne sab ko maar rakkhā

jo zinda bhī hai vo nīm-jāñ hai

ye kāhkashāñ nahīñ saroñ par

khīñche hue teġh āsmāñ hai

kyā qais se multafit ho lailā

nañgā hai vo nañg-e-ḳhāndāñ hai

parvāne se sham.a kyā chhupegī

maiñ bhī pūchhūñgā jahāñ hai

dekhā ai 'bahr' terā dīvān

ik daftar-e-hāl-e-āshiqāñ hai

Top Urdushayar.com