Dhal ga.ī hastī-e-dil yuuñ tirī ra.anā.ī meñ
mādda jaise nikhar jaa.e tavānā.ī meñ
pahle manzil pas-e-manzil pas-e-manzil aur phir
rāste Duub ga.e ālam-e-tanhā.ī meñ
gaahe gaahe koī jugnū sā chamak uThtā hai
mere zulmat-kada-e-anjuman-ārā.ī meñ
DhūñDhtā phirtā huuñ ḳhud apnī basārat kī hudūd
kho ga.ī haiñ mirī nazreñ mirī bīnā.ī meñ
un se mahfil meñ mulāqāt bhī kam thī na magar
uf vo ādāb jo barte ga.e tanhā.ī meñ
yuuñ lagā jaise ki bal khā ke dhanak TuuT ga.ī
us ne vaqfa jo liyā naaz se añgḌā.ī meñ
kis ne dekhe haiñ tirī ruuh ke riste hue zaḳhm
kaun utrā hai tire qalb kī gahrā.ī meñ