'ra.īs' ham jo sū-e-kūcha-e-habīb chale
hamāre saath hazāroñ balā-nasīb chale
rafāqatoñ kī sa.ādat liye rafīq aa.e
raqābatoñ kī nahūsat liye raqīb chale
jo qāfile ki hamārī talab meñ nikle the
kabhī ba.iid se guzre kabhī qarīb chale
aqab meñ hādisa-e-sub.h-o-shām ke ifrīt
jilau meñ gardish-e-ayyām ke naqīb chale
jahāñ ko jin ke nasībe pe rashk aatā thā
nikal ke apne gharoñ se vo bad-nasīb chale
ye chal-chalāv ajīb-o-ġharīb thā ai dost
ġharīb log sū-e-ālam-e-ajīb chale