Imdad Ali Bahr

aarastgi baDi jila hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ārāstgī baḌī jilā hai
patthar kī baġhal meñ aa.ina hai
mujh ko yahī aap se gilā hai
pūchhā na kabhī ki haal kyā hai
allāh re husn kī lagāvaT
dā.ūd raqīb aur yā hai
khoTe haiñ tilā.ī rañg vaale
us sone ko bārhā kasā hai
bāloñ ke ghaTā tale haiñ jhāle
meñh motiyoñ kā baras rahā hai
taqdīr meñ aag lagī ga.ī hai
aalam se jigar jalā-bhunā hai
piirī meñ hai harf zindagī par
jo qad ḳhamīda hai vo lā hai
piite haiñ sharāb mā-badaulat
saaqī bat-e-mai nahīñ humā hai
maiñ dauḌ rahā huuñ us ke pīchhe
jo saa.e se apne bhāgtā hai
bīmār huuñ ḳhūb-sūratoñ kā
husn-e-yūsuf mirī davā hai
bārīk kamar hai kyā hī us kī
talvār meñ baal aa gayā hai
bhavoñ par jo dupaTTe kā hai lachkā
paTThā talvār par charā hai
kamre kā khulā hai dar sar-e-rāh
ma.ashūq baġhal meñ hai ye kyā hai
kyuuñ hote ho 'bahr' tasht-az-bām
chilman chhoḌvā do sāmnā hai
Top Urdushayar.com