duniyā ko kyā ḳhabar? mirī duniyā phir aa ga.ī
vo rūh-e-nāz o jān-e-tamannā phir aa ga.ī
ai rūh-e-qais! tahniyat-e-shauq de mujhe
lailā phir aa ga.ī mirī lailā phir aa ga.ī
ab aur kyā hai chashm-e-tamāshā kī aarzū
vo ārzū-e-chashm-e-tamāshā phir aa ga.ī
kahte hue ki aap ke sirf aap ke liye
sab se bichhaḌ ke aap kī azrā phir aa ga.ī
rūThe hue the aap manāne ke vāste
ye mujrim-e-gunāh-e-tamannā phir aa ga.ī
ahbāb-e-rāz-dāñ meñ yahī tazkira hai aaj
furqat-zada 'ra.īs' kī duniyā phir aa ga.ī