Rais Amrohvi

subh-e-nau hum to tere sath numayan honge

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
sub.h-e-nau ham to tire saath numāyāñ hoñge
aur hoñge jo halāk-e-shab-e-hijrāñ hoñge
sadma-e-zīst ke shikve na kar ai jān-e-'ra.īs'
ba-ḳhudā ye na tire dard kā darmāñ hoñge
merī vahshat meñ abhī aur taraqqī hogī
tere gesū to abhī aur pareshāñ hoñge
āzmā.egā bahar-hāl hameñ jabr-e-hayāt
ham abhī aur asīr-e-ġham-e-daurāñ hoñge
āshiqī aur marāhil se abhī guzregī
imtihāñ aur mohabbat ke mirī jaañ hoñge
qalb-e-pākīza-nihād o dil-e-sāfī de kar
ā.īna ham ko banāyā hai to hairāñ hoñge
sadqa-e-tīrgī-e-shab se gila-sañj na ho
ki na.e chāñd isī shab se firozāñ hoñge
aaj hai jabr-o-tashaddud kī hukūmat ham par
kal hamīñ beḳh-kun-e-qaisar-o-ḳhāqāñ hoñge
vo ki auhām o ḳhurāfāt ke haiñ said-e-zabūñ
āḳhir is dām-e-ġhulāmī se gurezāñ hoñge
sirf tārīḳh kī raftār badal jā.egī
na.ī tārīḳh ke vāris yahī insāñ hoñge
Top Urdushayar.com