Imdad Ali Bahr

dam-e-marg baalin par aaya to hota

Imdad Ali Bahr

1810-1878
dam-e-marg bālīñ par aayā to hotā
mire muñh meñ paanī chuvāyā to hotā
ye sach hai vafādār koī nahīñ hai
kisī din mujhe āzmāyā to hotā
tasallī na detā tashaffī na kartā
mire rone par muskurāyā to hotā
mujhe apnī furqat se maarā to maarā
dam-e-naz.a mukhḌā dikhāyā to hotā
ġhalat hai ki murda nahīñ zinda hotā
tū mere janāze par aayā to hotā
vahīñ chauñk uThtā maiñ ḳhvāb-e-lahad se
mirā shāna tū ne hilāyā to hotā
huā iid ke din maiñ qurbān tujh par
bulā kar gale se lagāyā to hotā
mire qatl par tum ne biiḌā uThāyā
mire haath kā paan khāyā to hotā
vo suntā na suntā havas to na rahtī
mirā haal hamdam sunāyā to hotā
misī par bhī dāġhoñ kā samra na paayā
charāġh ik lahad par jalāyā to hotā
gilā hai mujhe tum se murġhān-e-gulshan
kabhī dard merā baTāyā to hotā
kabhī mere jānib se parvāz karte
koī hāl-pursī ko aayā to hotā
nahīñ ye bhī shikva na aa.e na aa.e
guloñ ko mirā ġham sunāyā to hotā
dar-o-bām kā 'bahr' ḳhvāhāñ nahīñ maiñ
mire āshiyāne meñ saayā to hotā
Top Urdushayar.com