Parvez Shahidi

ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai

Parvez Shahidi

Lodhi Katra, Bihar, India

1910-1968
ye sumbul-o-nasrīñ mere haiñ ye sehn-e-gulistāñ merā hai
maiñ azm-e-numū-e-gulshan huuñ in.ām-e-bahārāñ merā hai
maiñ farq batā.ūñ kis kis ko ehsās kī jab taufīq nahīñ
kaif-e-ġham-e-daurāñ merā hai lutf-e-ġham-e-jānāñ merā hai
ai mausam-e-gul tashvīsh na kar arbāb-e-ḳhirad kī bātoñ par
ye panja-e-vahshat mere haiñ har tār-e-garebāñ merā hai
ahbāb tabāhī par merī maġhmūm na hoñ mātam na kareñ
ye gardish-e-daurāñ merī hai vo fitna-e-daurāñ merā hai
ai nāseh-e-mushfiq! rahne de ashkoñ pe mire tanqīd na kar
ye dīda-e-giryāñ mere haiñ vo gosha-e-dāmāñ merā hai
tārīḳh-e-chaman likhne ke liye kyuuñ haath baḌhe haiñ gulchīñ ke
āġhāz-e-gulistāñ merā thā anjām-e-gulistāñ merā hai
shikvoñ kī zafar-yābī pe mujhe ahbāb mubārakbād na deñ
vo nīchī nigāheñ merī haiñ vo husn-e-pashīmāñ merā hai
Top Urdushayar.com