tum ḳhunuk jazba ho be-tābī-e-fan kyā jāno?
kyā guzartī hai dam-e-fikr-e-suḳhan kyā jāno?
ḳhuun hai dil meñ tumhāre abhī afsurda-ḳhirām
surḳh kyuuñ hote haiñ ruḳhsār-e-chaman kyā jāno?
maiñ huuñ kitne qad-o-gesū ke jahāñ kā me.amār
sargirāñ mujh se haiñ kyuuñ dār-o-rasan kyā jāno?
tum to karte ho mirī klik-e-suḳhan ko pāband
kaun hai kātib-e-taqdīr-e-vatan kyā jāno?
maiñ ki huuñ ḳhāk-nashīñ dushman-e-jām-e-ḳhusrav
maiñ hī piitā huuñ mai-e-taḳht-fagan kyā jāno?
tum ko hai naaz ki jakḌe hue ho vaqt ke paañv
kyuuñ badaltā hai zamāne kā chalan kyā jāno?
tum samajhte hī nahīñ ahl-e-gulistāñ kī zabāñ
mujh se kyā kahte haiñ ye sarv-o-saman kyā jāno?
tum to ho bā.is-e-afsurdagī-e-hāl-e-hunar
maiñ huuñ tābānī-e-mustaqbil-e-fan kyā jāno?
jin ko tum dete ho shorīda-sarī kā ilzām
haiñ vahī ḳhāk-basar tāj-shikan kyā jāno?