chhup kar na rah sake nigah-e-ahl-e-fan se ham
mahfil meñ jhāñkte haiñ naqāb-e-suḳhan se ham
kam-baḳht DhūñDhtī hai mohabbat meñ falsafa
tañg aa ga.e haiñ aql ke dīvāna-pan se ham
talḳhī-e-zindagī meñ bhī paane lage miThās
aajiz haiñ apnī fitrat-e-kām-o-dahan se ham
paidā kiyā huā hai hamārā hī sab faroġh
begāna kuchh nahīñ haiñ tirī anjuman se ham
ai mahv-e-nāz aur nayā koī imtihāñ
uktā ga.e haiñ bāzī-e-dār-o-rasan se ham
ik zarra hī sahī magar ai āftāb-e-nāz
sajde karā rahe haiñ tirī har kiran se ham
dete rahe fareb-e-manāzir ke but-kade
dekhā kiye tujhe nigah-e-but-shikan se ham
uThnā hamārā thā ki sabhoñ kī nazar uThī
kuchh jaise le chalūñ huuñ tirī anjuman se ham
ubhrā nahīñ hai sādgī-e-girya kā mazāq
mahfil ye chāhtī hai ki ro.eñ bhī fan se ham