sāġhar-e-sifālīñ ko jām-e-jam banāyā hai
phail kar mire dil ne ''maiñ'' ko ''ham'' banāyā hai
ham-safar banāyā hai ham-qadam banāyā hai
vaqt ne mujhe kitnā mohtaram banāyā hai
naaz hai ḳhalīlī ko husn-e-naqsh-e-sānī par
garche āzarī hī ne ye sanam banāyā hai
be-kasī-e-dil apnī duur kī hai yuuñ maiñ ne
dūsroñ ke ġham ko bhī apnā ġham banāyā hai
zindagī kī mausīqī kyā hai ham samajhte haiñ
saaz ke talavvun ko zer-o-bam banāyā hai
zulf kī tarah is ko bas sañvārte rahiye
zindagī ko fitrat ne ḳham-ba-ḳham banāyā hai
maiñ ne zarre zarre ko muskurāhaTeñ dī haiñ
tum ne har sitāre ko chashm-e-nam banāyā hai
mudda.ī-e-jiddat hai terī fikr ai zāhid!
mai-kade kī īñToñ se kyuuñ iram banāyā hai
but hazāroñ toḌe haiñ kitne TukḌe joḌe haiñ
zindagī ne jab jā kar ik sanam banāyā hai