har ek marhala-e-dard se guzar bhī gayā
fishār-e-jāñ kā samundar vo paar kar bhī gayā
ḳhajil bahut huuñ ki āvārgī bhī Dhab se na kī
maiñ dar-ba-dar to gayā lekin apne ghar bhī gayā
ye zaḳhm-e-ishq hai koshish karo harā hī rahe
kasak to jā na sakegī agar ye bhar bhī gayā
guzarte vaqt kī sūrat huā na begāna
agar kisī ne pukārā to maiñ Thahar bhī gayā