zindagī ne fasl-e-gul ko bhī pashemāñ kar diyā
jis bayābāñ par nazar Daalī gulistāñ kar diyā
tū ne ye kyā ai sukūt-e-shikva-sāmāñ kar diyā
dil kī dil hī meñ rahī un ko pashemāñ kar diyā
shukriya ai mausam-e-gul pās-e-vahshat hai yahī
gulsitāñ ko tū ne ham-dīvār-e-zindāñ kar diyā
kitne afsāne banā kar rakh liye the shauq ne
yuuñ naqāb ulTī haqīqat ne ki hairāñ kar diyā
kis qadar mazbūt nikle tere dīvāne ke haath
shām-e-ġham ko jab nichoḌā sub.h-e-tābāñ kar diyā
phuul barsā.e haiñ kyā kyā teġh-e-ḳhūñ-āshām ne
tum ne shahar-e-gul-azārāñ ko gulistāñ kar diyā
sīna-e-san.at meñ bhar kar apne dil kā iztirāb
āhan-o-faulād ko maiñ ne ġhazal-ḳhvāñ kar diyā