Parvez Shahidi

dil ki dhaDkanon se ek dastan banana hai

Parvez Shahidi

Lodhi Katra, Bihar, India

1910-1968
dil kī dhaḌkanoñ se ik dāstāñ banānā hai
aap kī nigāhoñ ko ham-zabāñ banānā hai
maah o ḳhor ugāne haiñ kahkashāñ banānā hai
ai zamīñ tujhī ko ab āsmāñ banānā hai
gul-farosh thā maalī ho gayā chaman ḳhālī
aaj patte patte ko bāġhbāñ banānā hai
apne surḳh hoñToñ kī muskurāhaTeñ de do
bijliyoñ kī yūrish meñ āshiyāñ banānā hai
bāñdh kar kafan sar se yuuñ khaḌā huuñ maqtal meñ
jaise sarfaroshoñ kā kārvāñ banānā hai
merī zindagī meñ tum apnī dil-kashī bhar do
vaqt jaise zālim ko mehrbāñ banānā hai
aaj un kī āñkhoñ se jhāñktī haiñ talvāreñ
dil kī ārzuoñ ko saḳht-jāñ banānā hai
Top Urdushayar.com