Parvez Shahidi

suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera

Parvez Shahidi

Lodhi Katra, Bihar, India

1910-1968
sunā hai un ke lab par kal thā zikr-e-muḳhtasar merā
tasavvur de rahā hai tuul isī ko kis qadar merā
ye dil-sozī-e-dard-e-ādamiyyat kyā qayāmat hai
kisī kī aañkh se aañsū baheñ dāman ho tar merā
tasavvur mai-kade kā mushtarak ho kis tarah nāseh?
ḳhirad sāġhar-shikan terī junūñ paimāna-gar merā
yahī aalam rahā gar shauq kī ā.īna-bañdī kaa!
to gum ho jā.egā jalvoñ meñ shauq-e-ḳhud-nigar merā
ḳhudā-rā kuchh to nāz-e-sar-bulandī rahm kar mujh par
tire bār-e-girāñ se ab jhukā jaatā hai sar merā
ulajh kar rah ga.ī thī aql to parde ke tāroñ meñ
baḌī mushkil se kaam aayā junūn-e-parda-dar merā
nahīñ 'parvez' kuchh apne hī ashkoñ kī namī is meñ
banā hai āstīn-e-dostāñ dāmān-e-tar merā
Top Urdushayar.com